PAGAL LADKI

                                                                    PAGAL LADKI

Ek pagal si ladki , hontho pe pyari si muskan liye ,

Duniya se ladkti thi , par phir bhi dil todne se darti thi !

Aansu kyon aaye kisi ke ankhon me , mujrim khud ko samajhti thi,

Apne tute hue dil ke tukdon se sabka dil joda karti thi,

Shayad sab ko apne jaisa samjajhti thi, aur phir foot fot ke roti thi,!

Ek pagal si ladki , dil todne se darti thi……………

Es jhooti duniya se anjan kuch massom khwab usne sajaye the,

Darti thi lekin himmat se kadam usne badaye the ,

Usne sab seekha tha lekin phir bhi harr rahi thi

Is duniya ko suljhne me khud ko uljha rahi thi,

Bhool gai thi ki jindagi ki rah me kabhi pathar banna padta hai

Kabhi kabhi khud keliye auron ka dil bhi todna padta hai!!

Lekin wo pagal si ladki, dil ke 100 tukde hone par bhi.

Dil todne se darti thi……….

Khud ki muskan bhulakar wo , doosron ke dard sunti ,

Khud ghut ghut ke jeeti , lekin sabke sapne bunti.

Dil ke badle me dil manga tha , sauda kitna sasta tha,

Kuch acha karne ki chaht me phir usne kai bar dilon ko tod diya.

Phir thandi thandi rato me usne un dino ko yad kiya,

Jab duniya se ladti thi par dil todne se darti thi!!!

Sau bar kaha ye nadan ladki !!!

Duniya se dabna chod de,

Har pal bikharna chod de,

Yahan dard dilo me jhoote hai

Yahan aansu pani ke hote hain!

Yahn dil tako(saste) me bikte hain

Yahn nazuk dilon ka koi mol nahi

Yahan patthar banna padta hai.

Sau bar kaha par wo na samjhi thi ,

Phir bhi dil todne se darti thi,

Phir wahi hua jo hona tha,

Dil toota use rona tha.

Vishwason ke sapne toot gaye,

Uske kuch dost usse rooth gaye,!

Phir moti jaise aansu bikhre,

Kuch sapno ke tute tukde ,

Wo aanchal me samete hue

Sukhi aankhen kuch kehti hai

Ke ab pehle se halat nahi,

Ke ab us pyari si muskan se rishta tod dia,

Tanha raton se rishta jod dia,

Phir tanha tanha rehne lagi,

Khud ko paththar phir kehne laagi,

Dard chupakar jeene ki uski purani adat thi

Wo ek pagal si ladki thi ,

Jo dil todne se darti thi!!!!

`

,

No comments:

Post a Comment

Wednesday, July 27, 2011