Bichde Dost

Intejar kia tha is din ke aane ka,
Asli dunia ki nakli chamak me kho jane ka,
Intejar kia tha zindagi me kuch acha ban jane ka
2 se 4 paise jyada kamane ka aur apni aiyashiyon me udane ka

Akhiri kuch dino me bade betab the wahan se jane ko
Zindagi ka agla padav pane ko,
Par na jane yahan aakar roj dil tham sa jata hai
Wo yaron ke sath ka waqt rokne ko dil chahta hai,
Ab lagta hai ki tab din ko holi aur rat diwali thi,
Bhale hi jeb poori khali thi,
Jo chahte the wo pakar bhi ab muskurane ka dil nahi karta hai
Yaron sahi me tumhare bina bilkul dil nahi lagta hai.....

Meri taang ab kaun kheecha karega, meri dukh bhari dastan sun ne ke liye kaun rat bhar jagega,
Ab kahan seediyon par der rat tak mehfhil jamegi, ab to poori bootle bhi khali lagegi.

Yahan hajaron ka hisab nahi, wahan kaun do do rupe ke liye ladega,
Kanjoos doston se dus rupee nikalwakar kaun khud ko hero kahega.
Kaun chakke marker entertainment karega,
Kaun chot lag jane par kahin se bhi dawai lakar marham lagayega,

Ab kaise kam se jee churakar kisi aur se project report banwayenge,
Ab kab exam khatam hone par hum bahar khane jayenge..

Ab kisko haq se hanth pakadkar khelne le jaunga,
Aur aalsi doston ko sab se galiyan padwaunga.....
Kaun meri kamchori se pareshan hoga ,
Kaun mujhe ladki se baten karte dekh hairan hoga...

Ab kaun pilakar khoob dance karwayega aur phir
Tali marker kon gale se lagayega.

Mere khane ke dabbe ko chori chupe khali kar ke khush kaun hoga.
Bataon yaron en ashkon me sikudti sham ka sawera kab hoga

BATAO MERE DOSTON DOOBARA AISA KAB HOGA!!!!"

No comments:

Post a Comment

Monday, September 23, 2013